Friday, August 3, 2012

Be-rang Sapne

Be-rang se hai sapne shaam ke
Ke ab aankho me bhi nami nahi hoti
Thi aarzu jiski har pal is dil ko
Dil ko ab uski kami bhi nahi hoti
Door ke manzar jo dikhte the pehle
Pehle jaise ab koi nazare nahi hote
Na bahaar hai na hai patjhad ka mausam
Mausam tha ghulam jiska ab vo ishaare nahi hote
Ham tanha the tab bhi jab tum nahi the
Tum ho ke bhi nahi ho ye yakeen nahi hota
Jis Kshitij pe aake milta hai aasman dharti se
Dharti pe shayad ab vo zameen nahi hoti
Syah Sard sa hai fiza ka daman
Ke daman me khushiyo ki mehak nahi hoti
Kami khalti thi kal bhi , kami khali hai aaj bhi
Par aaj ki kami me teri kami ki kasak nahi hoti
Bik jata bazaar me agar har ek gam dil ka
Shayad duniya me gam ki wakat nahi hoti