Friday, August 3, 2012

Be-rang Sapne

Be-rang se hai sapne shaam ke
Ke ab aankho me bhi nami nahi hoti
Thi aarzu jiski har pal is dil ko
Dil ko ab uski kami bhi nahi hoti
Door ke manzar jo dikhte the pehle
Pehle jaise ab koi nazare nahi hote
Na bahaar hai na hai patjhad ka mausam
Mausam tha ghulam jiska ab vo ishaare nahi hote
Ham tanha the tab bhi jab tum nahi the
Tum ho ke bhi nahi ho ye yakeen nahi hota
Jis Kshitij pe aake milta hai aasman dharti se
Dharti pe shayad ab vo zameen nahi hoti
Syah Sard sa hai fiza ka daman
Ke daman me khushiyo ki mehak nahi hoti
Kami khalti thi kal bhi , kami khali hai aaj bhi
Par aaj ki kami me teri kami ki kasak nahi hoti
Bik jata bazaar me agar har ek gam dil ka
Shayad duniya me gam ki wakat nahi hoti



8 comments:

  1. dil ki dhadkanon me thirakti wo jhankaar abhi baaki hai
    yaadon se sanvartaa wo junoon wo khumaar abhi baaki hai
    judaai ki khamoshi me sisakti wo takraar abhi baaki hai
    deewangi me uljhaa wo izhaar wo inkaar abhi baaki hai

    sapnon me hi sahi aahaton ka wo intezaar abhi baaki hai
    uski parchchaiyon ko talaashte wo ashyaar abhi baaki hai
    gard-e-gam me soyi kasak par wo karaar abhi baaki hai
    pyaar jo baaki hi raha shayad wo pyaar abhi baaki hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wo khamosh si reh gayi thi jo baat abhi baaki hai
      Dabe sehme se jazbaat abhi baaki hai
      Baki na raha jab tera sath mere hatho me
      Us sath ki lakiro ki saugaat abhi baaki hai ...

      Delete
  2. jisme naam pehchaan dharm aur imaan badal jaaye
    kya aise rishte ka jahaan me koi mukaam aaye?
    agar kuchch kehne ko chehra chhupaana pad jaaye
    to behtar ho ki wo baat seene me hi dab jaaye

    bahut haseen tha wo saath ki ab tak bhoola na jaaye
    phir usne bad-tameezi ke be-misaal namoone dikhaaye
    agar kuchch saleeka tameez aur tehzeeb kabhi aa jaaye
    phir to shayad uske haathon me bhi kisi ka haath aaye.

    :) lol :)

    ReplyDelete
  3. जो चाह कर वो हमको कुछ करम ऐसा कर गए,
    हम तो उनके एहसानों के बोझ तले मर गए ।
    हम से रूबरू हो कर जाने वो कितना डर गए,
    बोलती बंद तमीज़ गायब होश जाने किधर गए ।
    उनकी दोस्ती मे हम तो दुनियाँ से ही तर गए,
    जीना अभी कुछ और था बेवक्त ही ऊपर गए ।
    उनकी यादों के मोती टूट कर सब बिखर गए,
    दीवाना कहे दुनियाँ आइंदा अगर हम उधर गए ।
    सुकूँ है बस इतना के हम भी कुछ तो सँवर गए,
    और थोड़ा नाज़ भी के बच्चे कुछ तो सुधर गए ।
    :) :)

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  5. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  6. I prefer simple and unceremonious endings.

    ReplyDelete
  7. Akshay Kumar commits suicide.

    ReplyDelete