Thursday, December 11, 2014

Kabtak

Aas niraas ka zakhmi panchhi aakhir kabtak gaye ga
jo bhi phool khila hai ik na ik din wo murjhayega
hum ne mana lakh baharen aayengi phir jayengi
shakh se toota pata yaroon wapas kese jeepayega
kabtak yuhi sawalo me guzregi ye zindgi
Kabtak ham sawaalo me khud ki talaash karte rahenge
Har roz dil khud ko samjha ke kabtak rakhega
Kaise bhi ho manzar koi kabtak yuhi bebasi me muskurayega
Aakhir kabtak bikte rahenge jazbaat rishto ke daayro me
Kabtak apne sapno ke liye jeene wala baagi kehlayenga???

1 comment: