Mujh se rukhsat hue usey ek zamana ho gaya
dil per jo tha daag ab wo bhi purana ho gaya,
Dekho kya taazgi hai aaj bhi naam main unke,
lete hi ye gamo ka mousam suhana ho gaya,
Kyon na shikayaten apne dushmano se karu,
zeher jo aapne ne diya wo haqimana ho gaya,
Dil hi tha ke khud ko ujarta dekh raha tha,
umeedo se sajaya tha jise ab veerana ho gaya,
Kabhi tha hum per karam to ab sitam bhi nahi ,
kal tak jo tha apna yahan ab begana ho gaya
Maine apni mazaar per naam likha hai apna,
kudkhushi un se dosti nibhana ho gaya...
Izzat bakshi thi par izzat hi na bakshi usne,
ReplyDeleteWah dosti, khud ko juye me aazmaana ho gaya.
Soone dil me goonjate yaadon ke chand sikke,
Tanhai bharne ke liye gam ka khazaana ho gaya.
Ek ruhaani rishte ki chubha-ti si ghutan,
Aakhiri saanson ka ruk-ruk ke jaana ho gaya.
Wow Man! This is better than what I wrote!! Kudos...
DeleteVery beautifully written...
ReplyDeletevery very nice !
ReplyDelete