Sunday, April 1, 2012

Wo Bachpan Ke Din ...


Jab yaad aata hai to yaad aate hain,
woh pyare se din, woh suhaani shaamein,
Jab saahilon par PAPA ka haath thaame,
Ghanton ghooma karte the....
Wo MAA ki god,
Jisme apna sabkuch bhoolkar
Bekhabar, beparwah soya kart the;
DADA DADI ki woh kahaniyan,
Jiske rajkumar aur pariyon mein,
Khud ko dhoondha karte the;
Woh AAM ka DARAKHT,
Jiski chhanv tale, doston ke saath
milkar, khub shararat karte the;
Waqt beetta gaya
aur kho gaya kahin...
Woh SAAHIL...Jo aaj bhi mujhe aawaz deta hai,
Woh MAA ki god...Jo mujhe dhoondh rahi hai,
Magar jisme sone ki ab mujhe fursat nahi hai,
DADA DADI ki woh kahaniyan...Jo ab khamosh ho gayi hain,
Kabhi kabhi khwabon mein dhundhli lakeer ki manind, Dastak de jaati hain...
Woh saare DOST jaane kahan chal gaye...
Mutthhi mein band ret ki tarah fisal gaye,Kho gye jaane kahan...
Woh masti bhare din, woh bekhauf raatein;
Woh aasmaan choone ki tamanna, woh be-takallufi ki baatein,
Jab har sapna haseen tha, har lamha rangeen tha;
Aaj kyon har manzar surkh-syah-safed-sa dikhta hai...
Mohalle ki bheed badh gayi, to gharo me tanhayi hai...
Na hai wo befikr neend, na dilo me wo sachchayi hai...
Hai veerana sa jivan ab, sirf paisa hai, aur paise ki hi ladai hai!

5 comments:

  1. Indeed a true story for this generation. Our earlier generation had such a wonderful time. There we no worries, no issues, time never ran fast for them, and very productive.

    ReplyDelete
  2. Yeah! It talks of our yearning for some normalcy to creep in our lives, how I miss my childhood!

    ReplyDelete
  3. As per Federal bank technical research report one should go short in this counter. Federal bank is looking quite weak at current level and is expected to fall further. Positional traders can go short in Federal bank from current level for good gains.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  5. Way2profit provides accurate future stock tips for trading in NSE and commodity tips for commodity trading in MCX and NCDEX.

    ReplyDelete